Aap sabhi jante hai ki generatpress wordpress ka most popular theme hai jo laghbhag 70% wordpress site per use kiya jata hai , is post me hum aapko generatepress ke sare features ke bare me bata rahe hai, or jitne bhi Feature hai un sabhi ko yaha Cover karenge, jo site ko customise or design karne me kaam aata hai.
waise to generatepress me prebuilt theme kai sare hai, phir bhi apni jarurat ke anusar customise karna padta hai ,isliye ye jaruri hain ki iske sare features ke bare me point- by-point jankari honi chahiye
taki aap bhi easily generatepress theme ke ek- ek features ko jaan sake or uska istemal kar sake!, to chaliye shuru karte hai ,lekin usse pahle ye jaan lete hai ki is post me kya- kya jankari aapko milegi.
aap is post me janenge Generatepress Customization and uske Features ki puri jankari step – by – step
Site identity
Layout
Typography
Colors
Background images
General
Menus
Widgets
Homepage settings
Additional setting
iske alawa in sab ke ander jitne bhi features hai un sabhi ke bare me step-by step janenge
Site Identity
sabse pahle site identity ke bare me janenge iske ander five features aate hai
- Site tittle – isme site tittle add kiya jata hai ( waise yadi aap site me logo use karte hai to ye add krne ki jarurat nhi ) to is features ko hide kar de iske liye “Hide site tittle” box ko check kar de
- Tagline – kai sari companies or website per dekha hoga ki site tittle ke bad wo 2-3 words bolte hai jaise ki ‘ hindi blogging – learn in hindi’ to isme jo learn in hindi hai, wo site ka tagline hai ( yadi aapke site me bhi tagline hai to usse yaha add kar sakte hai ) wasie ye faydemand hai to isse add karna chahiye , add krne ke liye tagline wale box me tagline dale or niche box ” hide site tagline” check hai to uncheck kar de.
- Logo – yadi aap apne site ke primary menu me logo add krna chahate hai to yaha se logo add kar sakte hai
- Ratina logo – Normally jo logo hum use karte hai uski resoulation kam hoti hai or uski picture quality bhi kam hoti hai isliye yadi logo HD me dikhani hai or logo ka size jayda hai to ratina logo add kare.
- Site icon – Yani ki Favicon , jab bhi google me aap kuch search karte hai to site:url ke pahle ek chhota -sa image show hota hai yani ki favicon, to yaha se favicon add kar sakte hai.
abhi tak aapne jana Site identity ke bare me ,or waha kya add kar sakte hai ,ab janenege Layout ke bare me , wasie to iske features kuch jayda hi hai phir bhi hum sabhi ke bare me ek- ek karke janenge.
Layout
Generatepress theme setup me sabse jayda features Layout me hi hote hai or site ka adhiktar kaam yahi se hota hai, isliye iske ander jitne bhi features hai usse dekh lete hai phir uske bare me janenge.
- Container
- Header
- Primary Navigation
- Sticky Navigation
- Off Canvas pannel
- Sidebars
- Blog
- Footer
ab jante hai inme kaha se kya setting karni hai
- Container – yaha se Site ki Width , Space, line space, Layout design, padding etc… set kar sakte hai
- Container Width – Yaha se Site ki jitni width rakhni hai wo set kar sakte hai ( waise yadi aapko ye nahi malum ki kitni width rakhni hai to isse Default hi rahne de )
- Seprating Space – Jab aap generatepress me Seprate colum use karte hai to yaha se aap post or element ke bich Space badha or ghata sakte hai.
- Content Saprator – Yaha se aap Post image , post tittle , or meta entry ke bich space badha or ghata sakte hai.
- Content Layout – yaha se aap Content ka layout choose kar sakte hai ( website me jitne bhi post ,widgets hai un sabhi ki ek layout me hi dikhana , ya phir alag- alag dikhana.
- Boxes – Jab aap single page open karte hai to Header or Footer dono full screen me show hote hai jabki content page border ke ander show hote hai , yaha se aap wo features use kar sakte hain
- Content padding – single post page me space increase and decrease , site ke top, bottom, right , left me jo space create hota hai wah padding se hi hota hai.
- Header – iske features ho sakte hai ,ki wo disable ho, to sabse pahle enable kar le , iske liye box ko check kare , yadi aap mobile me header ke uperi bhag ko nahi dekhna chahate to ye features use kar sakte hai ,
- Mobile header – jaisa ki maine bataya ki is features ko use karne se mobile ka heading area hai wah hide ho jata hai
- branding type – aap heading section me Logo dikhana chahate hai ya Site tittle wah select karna hai.
- Logo – yadi logo dikhana chahate hai to yaha se logo upload kare.
- Sticky – jab site ko scroll kare or phir bhi menu show karwana hai to stcky ko ON kar de.
- Primary Navigation – ye sabse important hai jab bhi kisi site ko visit karte hai to sabse uper ek menu show hota hai , uske ander category hoti hai un sabhi settings yaha se kar sakte hai.
- Mobile menu lebal – Yadi primary menu me Home ya kuch or text add karna chahate hai to lebal ka use kar sakte hain.
- Mobile Menu breakpoint – Mobile me jo navigation menu hota hai uska size yaha se badha ghata sakte hai ( iska default size 768 px hota hai )
- Navigation Width – navigation width full rakhna hai ya contained yaha se select kar sakte hai ( full hi rakhe )
- Inner Navigation width – Sub menu width kis type ka rakhna hai wo yaha se select kar sakte hai.
- Navigation alignment – Navigation me go text show hota hai , wo yaha se set kar sakte hai , ki right show karwana hai ya left.
- Navigation dropdown – yaha se dropdown set karna hai kis parkar se aapka menu open ho.
- Dropdown direction – menu ka text right me show karwana hai ya left me , wo yaha se add kar sakte hai.
- Navigation Search – Primary menu me search box icon show karwana hai ya nhi ,ye yaha se kar sakte hai , matlab ki search bar ko yaha se enable or disable kar sakte hai.
- Menu item width – Primary menu ka width yaha se set kar sakte hai.
- Menu item height – primary menu ka height yaha se set kar sakten hai.
- Sub menu item height – Primary menu ke ander jo sub-menu hoata hai uski height adjust kar sakte hai.
- Sub menu width- sub-menu ka width yaha se adjust kar sakteb hai.
- Sticky Navigation – Yadi aap sticky navigation use karna chahate hai to pahle ise ON karna hoga iske liye isper click kare or on kare. , sticky navigation on karne se Primary menu ko sticky bana sakte hai ,
- Off Canvas pannel – Yaha se extra – ya custom menu create kiya ja sakta hai.
- Sidebars –
- Sidebar Layout – blog me content ke sath sidebar dikhana hai ya nhi yaha se select kar sakte hai , yadi aapne yaha se sidebar off kar diya to pure site me sidebar use nhi kar sakte , yani ki sidebar show karna hai ya nhi yaha se select kar sakte hai.
- Blog Sidebar Layout – Homepage me sidebar add karna hai ya nhi yaha se selcet kar sakte hain.
- Content sidebar – Single page me content ke sath sidebar dikhana hai ya nhi ye yaha se select kar sakte hain.
- Widget padding – sidebar widget ki padding yaha se set kar sakte hain.
- Left sidebar width – Left sidebar ki width kitni rakhni hai wo yaha se adjust kar sakte hain.
- Right sidebar width – yaha se right sidebar ki widthadjust kar sakte hain.
- Blog – Generatepress ka ye features bahut jayda important hai kyoki content area setup karte samaye inka upyog bahut jayda hota hain, dekhte hai iske important features…..
ye Content area hain iske 2 part hai archive yani Homepage or single yani Content page jaha full content laod hota hai , pahle hum archive ke bare me janenge
i. Archive – ye sabhi homepage ki setting hain.
- Content Type – Homepage per jo post show hota hai usme kuch word hi dikhana hai ya pura post dikhana hai wo yaha se set kar sakte hai.
- Excerpt word count – homepage per summary me kitna word show karwana hai utna number yaha daal sakteb hai ( jaise ki 20,30…)
- Read more label – Read more, continue reading jaise label add kar sakte hain.
- Display read more as button – Homepage per post me read more button show karwana hain ya nhi , wo yaha se select kar sakte hai.
- Display post date – homepage post tittle ke sath date show karwana hai ya nhi yaha se check uncheck kar sakte hain.
- Display post author – homepage me author name show karwana hai ya nhi wo yaha se kar sakte hain.
- Display post Categories – Homepage me category show karwana hai ya nhi wo yaha se deside kar sakte hain.
- Display Post Tags – post tag yaha se show or hdie kar sakte hain.
- Display comment count – ek post per kitna comment hai uska number yaha se show karwa sakte hain.
- Use infinite scroll – ye ek trah ka slider hota hai , jaab aap page scroll karte hain. to kitna scroll huya ye dikhata hain.
ii. Single – Jab aap koi post open karte hai to post tittle ke niche kuch data show hota hai jaise ki post date, post category,etc.. uski setting yaha se kar sakte hain.
- Display post date – Post publishing date show karwana chahate hai to yaha se kar sakte hain.
- Display post author – author icon show karwna chahate hai wo yaha se add kar sakte hain.
- Display post categories – usi trah yaha se category show karwa sakte hain.
- Display post tags – yaha se tag show karwa sakte hain.
- Display post navigation – post ka navigation show karwa sakte hai
Note.. ye sabhi single page meta info hai yaha se meta info me add or remove kiya jata hain.
iii. featured image – yaha se site me use honewale images ko adjust kar sakte hain.
- Archives – yaha se aap homepage ke image ka height,width location etc.. adjust kar sakte hain.
- posts – yaha se single page me use hone wale image ka height, width, size, location. etc.. adjust kar sakte hain.
- pages – yaha se pages me use hone wale image ko adjust kar sakte hain.
iv. Columns
- display post in columns – yaha box ko check karne per columns ka option aa jata hain.
- make first post grid – aapke blog ka jo first post hote hai unhe featured post bana sakte hain.
- display post in masonry grid – post layout badal sakte hain masonry grid me.
- Footer – yaha se footer ke complete function ko access kar sakte hain
- footer width – yaha se footer section ka width set kar sakte hain.
- inner footer width – yaha se inner footer ka width set kar sakte hain.
- footer widgets – yaha se footer widgets area ka width adjust kar sakte hain.
- Back to top button – yaha se back to top button enable disable kar sakte hain.
- footer widget area padding – footer area widgets padding yaha se adjust kar sakte hain.
- footer padding – footer area ka padding adjust kar sakte hain.
- Copyright – yaha se footer section me pages link , text etc.. add kar sakte hain.
Typography
- Body
- font family – yaha se single page me jo content dikhta hai uska font name change kar sakte hain.
- font weight – yaha se font ka weight increase and decrease kar sakte hain.
- text transfrom – yaha se text transfrom adjust kar sakte hai ( jaise ki sabhi text only capital me show karna hai ya phir starting text capital me show krna hain etc..0
- font size – yaha se body me jo font family use kiya gaya hai uska size adjust kar sakte hai
- line height – yaha se text ka line height bada , ghata sakte hai
- paragraph margin – yaha se paragraph margin set kar sakte hain.
- Header > yaha se site ka jo tittle hota hai uska font adjust kar sakte hai.
- primary navigation – primary navigation me jo font use kiya jata hai , use change kar sakte hai, font size badha sakte hai
- off canwas panel – yaha se canwas pannel ka font adjust kar sakte hai.
- Buttons – yaha se button me use hone wale font adjust kar sakte hai , jaise ki size increassement, font weight etc..
- Headings – yaha se site me use hone wale heading ka font size adjust kar sakte hai ( H1…..H6)
- Heading h1 – yaha se heading 1 ka font size , name etc.. adjust kar sakte hai
- Single content tittle h1 – jab aap koi post open karte hai to, uska jo tittle hota hai wah h1 ko cover karta hai to sidhe shabdo me kahe to aap is features ke jariye single page post tittle ka font name, or size adjust kar sakte hai.
- Heading 2 ( h2 ) – yaha se heading 2 ka font size, or name adjust kar sakte hai.
- Archive Content tittle ( h2 ) – yaha se homepage post tittle ka font, adjust kar sakte hai.
- widgets – yaha se widgets tittle ka font adjust kar sakte hai.
- Footer – yaha se website footer ka font adjust kar sakte hai.
Colors
- Global colors – yaha kuch colors dikhta hai , wo color isliye yaha dikhai deta hai , kyoki ye sabhi sites me bahut jayda use kiya jata hai, to yadi aapko apne site ke color ko leker koi paresani ho to yaha se choose kar sakte hai.
- Body – yaha se body ka colors change kar sakte hai , jaha per sabhi content load hote hai uska background, aisa kah sakte hai.
- Header – yaha se header ka color change kar sakte hai.
- Primary navigation – primary navigation ka color change kar sakte hai.
- Navigation search – navigation menu me jo search icon show hota hai, usak background change kar sakte hai.
- Buttons – yaha se site me use hone wale buttons ka colors change kar sakte hai ( jaise ki Comment submit button )
- Content – yaha se Content ( text ) ka color change kar sakte hai.
- Forms – yaha se form ka background and text colors change kar sakte hai.
- Sidebars widgets – yaha se sidebar me use hone wale widgets text color, and background color adjust kar sakte hai.
- Footers widgets – yaha se footer widgets area ka background color, text color adjust kar sakte hai.
- Foooter bars – footer me jo links hote hai unka text color and background colors adjust kar sakte hai.
Note ; Aap down arrow per click krke and color per click karke custom color bhi select kar sakte hai.
Backgrounds images
is features ka use karke site me background color ki jagah custom image add kar sakte hai , jaise ki header, footer, single page, primary navigation, button, forms etc… me
General
- Dynamic Css Print Method – yaha se css file ko kaise load karna hai wo select kar sakte hai , jaise ki inline embed, ya phir external ( waise external use karna shi hota hai )
- Structure – yaha se site structure select kar sakte hai.
- icon type – site me jo icon use karte hai wo SVG use karna hai ya font use karna hai ye select kar sakte hai.
- Underline links – yaha se website me use hone wale sare links ko underline kar sakte hain.
- Combine css – Site me use hone wale css ko combine karke load karta hai , jisse site fast load hota hai.
- Cache dynamic Css – jab bhi site ke liye koi extra css use karte hai to wah database me cached ke rup me store ho jata hai , uski setting aap yaha se kar sakte hai.
- Use dyanmic typography system –
- Smooth scroll – is features ka istemeal site me load hone wale links ke liye kiya jata hai, yadi aaap post me kai sare link dalte hai to uske scroll karne ke liye smooth scroll features ka use kiya jata hai.
Menu
- Footer – yaha se website ke footer ( bottom ) me page links add kar sakte hai , footer menu ka location add kar sakte hai.
- Home – yaha se primary menu me page ka link add kar sakte hai and uska location adjust kar sakte hai.
- VideoVishper – yadi apne website me live streaming etc.. karte hai to yaha se uska ek alag menu craete karke streaming, tv, broadcast jaisi link yaha add kar sakte hai.
- Create new menu – yaha se new menu create kar sakte hai.
- Menu location – yaha se jitne bhi menu hai site me un sbhi ka location adjust kar sakte hai.
Widgets
- Footer widgets 1…5 – yaha se footer area 1 se 5 tak me widget add kar sakte hai.
- Footer bar – yaha se footer bar me widgets add kar sakte hai
- Top bar – yaha se site header me widgets ,links, banner etc.. add kar sakte hai.
Homepage Setting
- Your Latest Posts – is setting ko select krne se site ke homepage per jo naya post publish karenge wo dikhega.
- A static page – yaha se aap custom page ko homepage per add kar sakte hai, jo bar – bar change nhi hota , wah hamesa wahi hoga jo ek bar aap add karnge.
Additional css
Additional css, yadi site me koi extra css code use karna ho to yaha se add kar sakte hai, or waise bhi site design me css bahut jayda important hai or css code kuch jayda hi use kiya jata hai. kahne ka matlab aap is feature ka use karke site me css code use kar sakte hai.
Conclusion;
Abhi tak hamne Generatepress theme ke customision setting ke jitne bhi features hai un sabhi ke bare me Step-by-Step jana , aise kuch features hai jo kai bar reapet kiye gaye hai ,sirf unke bare me short me bataya gaya hai ,baki ke jitne important features hai un sabhi ke bare me bataya gaya hai ,
ummed hai aap ek bar is post padhne ko padhne ke bad generatepress customison features ke sare features bina kisi prolem ke easily use kar sakte hai.
Is post me hamne jana generatepress customision features ke bare me, ummed hai aapko ye pasand aaya , yadi aapko lage ki ye post vakai me upyogi hai, to ise social sites per jarur share kare.