Yadi aapka Khud ka blog hai or aap Usse paisa nhi kama paa rahe hai wo bhi sirf is karan se ki aapko blog se paisa kamane ka tarika nhi malum hai to ghabrane ki baat nhi.
mai is post me aise 5 best Online Blog se paisa kamane ka tarika bataunga jo ki 100% Working hai Or Proffessional Blogger inhi tarika ka istemal karke Acha – khasa Paisa Apne ek hi blog se kama rahe hai.
Online Blog se paisa kamane ka best tarike
adhikter logo ka dream hai ki Wo online Blog se paisa kamaye lekin Unhe yahi Samajh nhi aata ki kaise, Kyoki Blog to unhone bana liya Adsense bhi hai lekin isse income nhi ho raha to dusra kaun sa tarika use kiya jaye jisse kamai ho.
yadi aap blogger hai or aapki kamai nhi ho rahi hai or kuch isi trah soch rahe hai to ghabrane ki baat nhi hamne 5 online blog se kamane ke methods ko puri trah se Research kiya hai or yakin maniye ye Sabse Acha hai.
Online Blog Se Paisa kaise Kamaye
waise to Online paisa kamane ke 100 se bhi jayda tarike hai lekin her koi usse puri trah se nhi kar sakta isliye maine unme se 5 best tarika khoja hai jo aapke samane hai or mujhe yakin hai ki aapke liye ye kafi faydemand sabit hoga.
Contextual Ads
Isme Google Adsense or media. net jaise Publisher Companies aati hai Jinka approvel leker unka ads apne site per laga kar paise kama sakte hai
Google Adsense : adsense se paisa kamane ke liye sabse pahle ek acha sa blog create kare unki jo Criticaria hai wo Complete kare uske baad adsense ke liye apply kare ek bar adsense approvel de diya uske baad uska ad aapke site per dikhna shuru ho jayega “Mean” aapka income Start ho jayega
Media.net : Google adsense ki trah hi media. net Company bhi hai jiska approvel lena padta hai phir Uska ad aapke site per dikhna shuru ho gya phir aapka income start
halanki Media. net Sirf English Language wale blog ko approval deta hai baki language ke blog ko nhi
waise to Ad publisher website to bahut si hai Lekin sabhi ya to high traffic wale site ko approvel deta hai ya phir approvel Policy bahut heavy hai jiske karan log istemal nhi kar pate
kul Milakar Adsense or media net Contextual ads ke mamle me no. 1 per hai or ye ek sabse best and popular tarika hai blog se paisa kamane ka, iske baad hi baki method work karte hai
yadi aapke blog per Adsense approved hai lekin income nhi ho raha to aap Ye padhe…. cpc kaise badhaye
Affiliate Marketing
Aaj ke Samaye me Jitne bhi blogger hai unme se 90% affiliate marketing karte hai bhale hi unhe Affiliate Marketing n aata ho
Lekin Jo Real Affiliate Marketer hai Unhe affiliate marketing aati hai unhe Google AdSense or media net jaisi website ko kabhi visit hi nhi karna padta kyoki Online Income ke mamle me sabse jayda income affiliate Marketing me hi hai
Sabse achi baat yah hai ki Other publisher website ke sath hi affiliate Marketing bhi kar sakte hai aapko alag se blog banane ki jarurat nhi
Affiliate marketing kaise sikhe?
affiliate marketing se jude bahut se courses hai iske alawa Bahut se Post video uplabdh hai Google or Youtube per jaha se aap Affiliate Marketing sikh sakte hai
Affiliate Marketing kaise kare
jab aap affiliate marketing sikh jao to mujhe nhi lagta ki is parkar ke sawal puchane ki jarurat padegi, phir bhi Starting ke liye Ek blog hona chahiye
uske bad Hosting, Shopping site, Theme Script Selling site ka affiliate Join karke unka Product sell karke paisa kamaya ja Sakta hai kisi bhi Companies ka ek product sale karne per 20% se leker 60% tak Commission milta hai
jisse acha income ho jata hai
Is blog ( successbranch ) per Affiliate Marketing se related kai sare post hai jo aapke kaam ki hai aap unhe padhe
jisse affiliate Marketing ke bare me or jaan sake.
Content Writing
Vigat kuch varsho me Internet per blog, website ki Sankhya me kai guna izafa huya hai iska sabse bada karan hai online paisa Kamane me interest or isi karan her roj naye – naye blog ban rahe hai
Lekin kya aapko malum hai ki inme se 55 % logo ke pass Samaye nhi hai ya phir be log likhna nhi chahate wo apne blog ke liye Content Writers hire karte hai jo unke blog per Regular Content dal sake
iske avaj me Unko per day, weekly, monthly payments milta hai
Aaj ke Samaye me Choti se leker badi company sabhi apne business ko online le jaa rahi hai aise me khud ke business ke bare me Describe krne ke liye blog create kar rahi hai or apne business ko describe krte hai lekin wo khud nhi Balki Content writers
apne business ke bare me likhwane ke liye wo Content writers hire karte hai jinki salary achi – khasi hoti hai, in sabke alawa Bloggers bhi Content Writer’s hire karte hai taki unka blog regular update rahe
Yadi Content writing me aapka experience acha hai to aap roj 500- 1000 tak kama sakte hai
Content writing me Blog ka role kya hota hai
Dekhiye, waise to social sites ka Jamana hai lekin Fraud bhi utna hi hota hai isliye log aise vaykti ko hire karte hai to trusted ho or wah trust aapka blog banata hai
or Log bande ke talent ko bhi dekhte hai unki writing skill bhi dekhte hai or in sabhi ke liye aap alag – alag portfolio to nhi create karenge isliye blog ka hona jaruri hai
Paid Guest Posting
aise bahut se log hai jo promotion or backlink pane ke liye guest posting karte hai
jo blogger hai unhe achi trah se malum hai ki backlink kya hai or ye kitna important hai
Paid guest posting : Company / blogger / other Aise blog website ko find karte hai Jinka acha ranking hai sath hi uska jo domin authority or page authority acha ho or phir waise blog per guest post karte hai iske badle wo 1/ 2 Backlink ki maang karte hai
jiske badle me wo payment karte hai
Ek trah se ye Backlink Selling huya lekin ye log direct backlink selling n karke paid guest posting ka sahara lete hai
aasan shabdo me kahe to Company ek post aapko deti hai apne site per publish karne ke liye is post me Company ka 1- 2 link add rahta hai aapko unka post publish karna hota hai or us post ke badle wo paise dete hai
Paid guest posting me aap ache khase kamai kar sakte hai yadi aapki site high authority wali hai to
paid guest ka kitna charge karna Chahiye
aap ek paid guest post ka charge $10 – $100 tak kar sakte hai halanki iske liye site high authority ka hona jaruri hai yadi aapka website normal authority ka hai to $10 – $50 tak Charge kar skate hai iske bare me kisi post me puri trah se describe karenge.
Sponsership
Finally or last Method Jiska istemal karke blog se paisa kamaya ja skata hai
Choti – badi Company Local ho ya international market me apna value increase karne ke liye blog, website ko Sponsership provide krta hai yani ki kisi sites ke jariye apne Project, Company, work ka promotion karwate hai
Or iske badle wo Paise dete hai Ek Sponsership se aap $100-$1000 tak kama sakte hai Ye nirbhar karta hai ki Company kitni badi hai
Sponsership kaise paye
Waise to Sponser Popular sites ko aasani se khoj kar unhe Sponsership provide karte hai lekin jaruri nhi ki her kisi tak wo pahuche isliye ek website hai jaha per Site ke anusar Sponsership milta hai
Website ka naam hai Flyout is site se judkar Bahut se log blog ke jariye paisa kama Rahe hai to aap bhi kama sakte hai iske liye Flyout site per jaye waha account banaye or apna site submit kare important settings kare uske baad aapko Sponsership Mil jayega
yaha per ek bat ka dhyan rakhe apne site value ki anusar hi Sponsership ka charge rakhe jisse easily aapko Sponsership mil sake.
ye tha aapke liye 5 best Method blog se online paisa kamane ke liye jo ki 100% workings hai or her koi in method ko use kar sakta hai
Adsense approved hai lekin Income nhi ho raha ?
jin logo ka adsense approved hai lekin kamai nhi ho rahi un logo ke liye mera sujhav hai ki wo Ezoic Use kare
Ezoic Google dwara Verified Company hai jo site ko Optimised karke Shi jagah per ad placement karta hai jisse income badh jata hai.
Conclusion
aaj ka hamara ye post jisme hamne 5+ Ideas share kiye jinka istemal karke blog se online paisa kamaya ja sakta hai ye sabhi Sabse ache or easy tarike hai
aapke pass bhi aisi koi method hai jisse online paisa kamaya ja sakta hai to Jaldi se Comment me use hamare sath share kare
उम्मीद है आपको हमारा ये पोस्ट पसंद आया आपको लगे की वाकई मे ये पोस्ट उपयोगी है और दूसरे लोगो के भी काम आ सकती है तो जरा – सा समय निकाल कर अपना कीमती फीडबैक जरूर दे साथ ही इसे सोशल साइट्स पर जरूर शेयर करें
आपने बहुत बढ़िया जानकारी दी है
धन्यवाद, successbranch से जुड़े रहे!